Write Your Article (Guest Post) On How2Trick
Hello Friends,
Welcome.
Sabse pahle me aap sab ka dhanayvad dena chahungi ki aap meri website par aaaye.
Meri is website par Money Making Tips, Blogging, How-To Guides, Android jesi bahot sari categories par aapko knowledge mil jata hai.
Agar Aap bhi apna knowledge is website par share karna chahte ho to aap bhi guest post kar sakate ho. Aap apani post/article muje bhej sakate ho or fir me usko How2Trick par jarror publish karungi.
Post likhte samay in bato ka jarror dhyan rakhe:
- Aap jo bhi post/article likhenge vo kahi or se copy kiya hua nahi chahiye. 100% New article hona chahiye.
- Article kam se kam 400 words ki honi chahiye. Kitni bhi lambi post chalegi par achhi or kam ki honi chahiye. Article send karane se pahle words jarror count kare.
- Aap jo article likh rahe ho uski bhasha (language) ye honi chahiye:
- English
- Hindi
- Hinglish (Hindi + English Both)
- Minimum 1 image hona chahiye, aap ne jo article likha he uske sambandhit. Aap Pixabay , pixels jesi websites use kar sakate ho image download karne ke liye.
- Article ko chhote-chhote paragraph me likhe, jinse article padhne me aasani ho.
- Article me koi galat link (URL) nahi hona chahiye.
Aapaka kya faida hai How2Trick par guest post karne ka?
- Sabse achha faida ye hai ki aap apna knowledge internet ke through bahot sare logo ke sath share kar sakate ho.
- Aapki koi website/blog hai to usko is website se “Do-Follow Backlink” bhi milegi, jisse aapki website ki bhi ranking increase hogi.
- Aapki internet par ek phechan ban jayegi (bina website banaye).
- How2Trick par Guest Author ki list me aap bhi samil ho jayege.
- Important baat jo hai vo yeh hai ki logo ki madad karne me jo khusi milati hai esi khusi kahi pe bhi nahi milati hai.
Post kaun se topic par likh sakate ho?
- Blogging
- Online money making tips
- Mobile se sambandhit jaankari
- Internet tips
- Useful websites ke bare me
- Social networking sites ke bare me koi tips, tricks (Facebook, Instagram, Twitter, etc)
- Online Security tips
- Tech News
(Logo ko useful lage esa content hona chahiye)
How2Trick ke Rules:
- Article/post me koi bhi galat link (URL) , ya koi esi link jo sahi nahi ho, usko publish nahi kiya jayega.
- Aapke duaara jo article muje bheja jayega usko me apne marji se edit kar sakati hoon, taki vo How2Trick readers ke liye sahi ho.
- Agar aapke blog par koi galat chije share ki gai hai to How2Trick se jo aapki blog ko backlink diya hoga vo remove kiya jayega.
Article kaise send kare:
- Aapko guest post likhne se pahle (Gmail) email se contact karna hoga. Or aapko yeh batana hoga ki aapka topic kya hai.
- Jaise aapka topic approve hoga aapko aapke complete post MS Word File mai send karni hai. Text File bhi chalegi.
[Aap apna Author Bio bhi 1 paragraph me likh sakate ho]
Submit Now: ahirkajal777@gmail.com